charagh bujhne lage aur chhai tariki
chuka raha tha main qimat hawa se yari ki
tu soch bhi nahin sakta jis ehtimam ke sath
kaTe shajar pe parindon ne aah-o-zari ki
wo jis ka ishq mera juzw-e-ruh ban gaya tha
usi ne mujh se mohabbat bhi iKHtiyari ki
tumhaara wajd mein aana faqat dikhawa tha
wo kaifiyat hi nahin thi jo KHud pe tari ki
tumhaare shahr ki hurmat ka pas rakhte hue
adu koi na banaya sabhi se yari ki
jahan KHuda ki azan ho rahi ho git ki nazr
sunega kaun wahan par sada bhikari ki

Ghazal
Charagh bujhne lage aur chhai tariki
Rakib Mukhtar