اردو हिंदी
Chand sansen hain mera raKHt-e-safar hi kitna | Shaahi Shayari
chand sansen hain mera raKHt-e-safar hi kitna

Ghazal

Chand sansen hain mera raKHt-e-safar hi kitna

Faza Ibn e Faizi

;

chand sansen hain mera raKHt-e-safar hi kitna
chahiye zindagi karne ko hunar hi kitna

chalo achchha hi hua muft luTa di ye jins
hum ko milta sila-e-husn-e-nazar hi kitna

kya pighalta jo rag-o-pai mein tha yaKH-basta lahu
waqt ke jam mein tha shola-e-tar hi kitna

kis KHata par ye uThana paDi raaton ki salib
hum ne dekha tha abhi KHwab-e-sahar hi kitna

hum bhi kuchh der ko chamke the ki bas rakh hue
sach to ye hai ki ram-o-raqs-e-sharar hi kitna

tarz-e-ehsas mein nudrat thi udhar hi kitni
fikr-o-jazabe mein tawazun hai idhar hi kitna

de diye KHusraw-o-shirin ne use moD kai
warna yun fasla-e-tisha-o-sar hi kitna

tera irfan tu kya KHud ko na pahchan saka
tha mera dara-e-ilm-o-KHabar hi kitna

yak qadam besh nahin shab ki masafat lekin
ek TuTe hue tare ka safar hi kitna

ai 'faza' daman-e-alfaz hai ab bhi KHali
tha yahan shaKH-e-maani pe samar hi kitna