chand mohmal si lakiren hi sahi ifsha rahun
nok-e-KHama par ba-rang-e-raushnai kya rahun
koi shayad aa hi jae rasta takta rahun
ek sang-e-mil ban jaun ba-chashm-e-wa rahun
khai se sab ko bacha lun main na kuchla jaun to
ban ke KHatre ka nishan raste mein istada rahun
dasht-e-tanhai mein yaadon ke darindon se Darun
bach-bacha ke bhiD mein aaun to phir tanha rahun
zarre zarre mein bikhar jaana hai takmil-e-hayat
mujh ko ye zeba nahin ab zat mein simTa rahun
apni aawazen hi jab bar-e-samaat hain 'zahir'
chiKHte gumbad mein behtar hai ki main gunga rahun
Ghazal
Chand mohmal si lakiren hi sahi ifsha rahun
Zaheer Siddiqui