chand lamhon ko sahi tha sath mein rahna bahut
ek bas tere na hone se hai sannaTa bahut
zabt ka suraj bhi aaKHir sham ko Dhal hi gaya
gham ka baadal ban ke aansu raat bhar barsa bahut
dushmanon ko koi bhi mauqa na milne paega
doston ne hi mere bare mein hai likkha bahut
main khara utra nahin tere taqaze par kabhi
zindagi ai zindagi tujh se hun sharminda bahut
bas ana ke bojh ne nazren meri uThne na din
us ki jaanib dekhne ko ji mera chaha bahut
main ne puchha ye bata mujh se bichhaDne ka tujhe
kuchh qalaq hota hai kya us ne kaha thoDa bahut
ghar hamara phunk kar kal ek paDosi ai 'atiq'
do ghaDi to hans liya phir baad mein roya bahut
Ghazal
Chand lamhon ko sahi tha sath mein rahna bahut
Ateeq Allahabadi