chand lamhon ke liye anjuman-arai thi
phir wahi main tha wahi raat ki tanhai thi
chaDhte suraj ki tawajjoh rahi sari us par
raushni ki to udhar sirf jhalak aai thi
apne dil mein bhi thi tamir-e-makan ki hasrat
apni qismat mein magar baadiya-paimai thi
apne hi bojh se har Dubne wala Duba
warna tufan se kashti to nikal aai thi
chal diye bas yunhi ek sae ke pichhe
na taaruf hi tha us se na shanasai thi
kaun is dasht mein kahta mujhe 'mohsin' labbaik
apni hi KHak-e-nawa gunj ke lauT aai thi
Ghazal
Chand lamhon ke liye anjuman-arai thi
Mohsin Zaidi