chand harfon ne bahut shor macha rakkha hai
yani kaghaz pe koi hashr uTha rakkha hai
mujh ko to apne siwa kuchh nazar aata hi nahin
main ne diwaron ko aaina bana rakkha hai
aap ke panw tale se bhi khisakti hai zamin
aap ne kyun ye falak sar pe uTha rakkha hai
mushaf-e-zat ki tafsir hai ye gahri chup
chup hi mani hai miyan harf mein kya rakkha hai
mujh pe to bhaari nahin koi shab-e-hijr mujhe
zaKHmon ne sarw charaghacharan bana rakkha hai
mera har kaam qayamat hi uTha deta hai
tu ne har kaam qayamat pe uTha rakkha hai
gulshan-e-dil abhi shadab hai pazhmurda nahin
mausam-e-gham ne use kitna hara rakkha hai
Ghazal
Chand harfon ne bahut shor macha rakkha hai
Rafiq Raaz