chamke hain sab ke baKHt teri jalwa-gah mein
wan kuchh nahin tamiz safed-o-siyah mein
rahmat jhalak rahi hai ghazab ki nigah mein
dil pa raha hai lazzat-e-taat gunah mein
hain jab tujhi pe shaiKH-o-barahman miTe hue
phir farq kya hai but-kada-o-KHanqah mein
pahle wahi bahisht mein jae to lutf hai
sabqat hui hai jis ki taraf se gunah mein
bande hun taki KHilat-e-rahmat ke mustahiq
bhar di hai kuT kuT ke lazzat gunah mein
tasir-e-ah-o-nala to malum han magar
dil ka buKHar KHub nikalta hai aah mein
'mushtaq' aae rah pe wo shoKH ya na aae
apni taraf se farq na aae nibah mein
Ghazal
Chamke hain sab ke baKHt teri jalwa-gah mein
Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi