اردو हिंदी
Chamka jo chand raat ka chehra nikhar gaya | Shaahi Shayari
chamka jo chand raat ka chehra nikhar gaya

Ghazal

Chamka jo chand raat ka chehra nikhar gaya

Abdullah Javed

;

chamka jo chand raat ka chehra nikhar gaya
mange ka nur bhi to baDa kaam kar gaya

ye bhi bahut hai sainkaDon paude hare hue
kya gham jo barishon mein koi phul mar gaya

sahil pe log yunhi khaDe dekhte rahe
dariya mein hum jo utre to dariya utar gaya

saya bhi aap ka hai faqat raushni ke sath
DhunDoge tirgi mein ki saya kidhar gaya

hum jis ke intizar mein jage tamam raat
aaya bhi wo to KHwab ki surat guzar gaya

hum ne to gul ki chand ki tare ki baat ki
sab ahl-e-ajnuman ka guman aap par gaya

ghar hi nahin raha hai salamat bataen kya
'jawed' ke baad sail-e-bala kis ke ghar gaya