اردو हिंदी
Chaman wahi hai ghaTaen wahi bahaar wahi | Shaahi Shayari
chaman wahi hai ghaTaen wahi bahaar wahi

Ghazal

Chaman wahi hai ghaTaen wahi bahaar wahi

Haya Lakhnavi

;

chaman wahi hai ghaTaen wahi bahaar wahi
magar gulon mein wo ab rang-o-bu nahin baqi

hai dil-kashi mein wahi ab bhi mausamon ki bahaar
nazar mein kaifiyat-e-rang-o-bu nahin baqi

shabab-e-dahr ki ab bhi hai wo farawani
magar KHayal mein josh-e-numu nahin baqi

hai dil mein dard bhi pahlu mein dil bhi hai lekin
kisi ke dard pe rone ki KHu nahin baqi

haram ki sham-e-farozan hai aaj bhi lekin
tajassus-e-nazar-e-shola-ju nahin baqi

gale to milte hain ahbab ai 'haya' ab bhi
magar dilon mein sadaqat ki bu nahin baqi