chaman walon ko raqsan-o-ghazal-KHwan le ke uTThi hai
saba ek ek se taid-e-bahaaran le ke uTThi hai
ruKH-e-gul-e-rang par ek shabnamistan le ke uTThi hai
ye kya aalam teri chashm-e-pasheman le ke uTThi hai
ye kis daman ki hasrat hashm-e-giryan le ke uTThi hai
ki dil se jo bhi mauj uTThi hai tufan le ke uTThi
giranbari se shana KHam hua jata hai hasti ka
na jaane zindagi kis kis ka ehsan le ke uTThi hai
'surur' us bazm ke sadqe jahan par dil ki betabi
fasurda le ke aai thi ghazal-KHwan le ke uTThi hai
Ghazal
Chaman walon ko raqsan-o-ghazal-KHwan le ke uTThi hai
Suroor Barabankvi