chaman sa dasht ta-hadd-e-nazar kitna hasin hai
tu mera ham-qadam hai to safar kitna hasin hai
meri jaanib lapakti manzilon se puchh lena
kisi ke sath chalne ka hunar kitna hasin hai
wo mere samne baiTha hua hai mera ho kar
dua-e-nim-shab ka ye asar kitna hasin hai
zahe qismat ki saye dar bhi hai ba samar bhi
mere sar par mohabbat ka shajar kitna hasin hai
ajab KHwab aashna aankhen hui hain wasl ki shab
khuli hai aankh to rang-e-sahar kitna hasin hai
main hansti khelti hun jis ke KHwab na-rasa mein
mera ehsas hasrat hai magar kitna hasin hai
nahin hai 'naz' kam jannat se mera aashiyana
mohabbat se muzayyan mera ghar kitna hasin hai
Ghazal
Chaman sa dasht ta-hadd-e-nazar kitna hasin hai
Naz Butt