chaman mein wo faramoshi ka mausam tha main KHud ko bhi
zamin par barg-e-awara nazar aaya to yaad aaya
abhi ek nisbat-e-dar-o-rasan ka qarz baqi hai
faraaz jah o mansab se utar aaya to yaad aaya
bhulaya gardish-e-ayyam ne dast-e-pidar yun to
magar jab moD koi pur-KHatar aaya to yaad aaya
kisi ki aankh ka tara hua karte the hum bhi to
achanak sham ka tara nazar aaya to yaad aaya
bhara bazar tha kuchh jins-e-jaan ke dam lag jate
shahadat-gah-e-duniya se guzar aaya to yaad aaya
Ghazal
Chaman mein wo faramoshi ka mausam tha main KHud ko bhi
Ali Iftikhar Jafri