اردو हिंदी
Chaman mein shab ko jo wo shoKH be-naqab aaya | Shaahi Shayari
chaman mein shab ko jo wo shoKH be-naqab aaya

Ghazal

Chaman mein shab ko jo wo shoKH be-naqab aaya

Haidar Ali Aatish

;

chaman mein shab ko jo wo shoKH be-naqab aaya
yaqin ho gaya shabnam ko aaftab aaya

un ankhDiyon mein agar nashsha-e-sharab aaya
salam jhuk ke karunga jo phir hijab aaya

kisi ke mahram-e-ab-e-rawan ki yaad aai
habab ke jo barabar kabhi habab aaya

shab-e-firaq mein mujh ko sulane aaya tha
jagaya main ne jo afsana-go ko KHwab aaya

adam mein hasti se ja kar yahi kahunga main
hazar hasrat-e-zinda ko gaD dab aaya

chakor husn-e-mah-e-chaar-dah ko bhul gaya
murad par jo tera aalam-e-shabab aaya

mohabbat-e-mai-o-mashuq tark kar 'atish'
safed baal hue mausam-e-KHizab aaya