chaman mein lala-o-gul par nikhaar bhi to nahin
KHizan agar ye nahin hai bahaar bhi to nahin
tamazat-e-gham-e-dauran se phunk rahi hai hayat
kahin pe saya-e-gesu-e-yar bhi to nahin
KHayal-e-tark-e-mohabbat baja sahi lekin
ab apne dil pe hamein iKHtiyar bhi to nahin
kabhi to jaan-e-wafa hai kabhi hai dushman-e-jaan
teri nazar ka koi e'tibar bhi to nahin
ba-in taghaful-e-paiham sitam to ye hai 'surur'
main us ki KHatir-e-nazuk pe bar bhi to nahin
Ghazal
Chaman mein lala-o-gul par nikhaar bhi to nahin
Suroor Barabankvi