chaman mein aatish-e-gul bhi nahin dhuan bhi nahin
bahaar to ye nahin hai magar KHizan bhi nahin
bichhaD gae hain kahan ham-safar KHuda jaane
nuqush-e-pa bhi nahin gard-e-karwan bhi nahin
tawaf-e-kaba kiya but-kada bhi dekh aae
sukun-e-qalb yahan bhi nahin wahan bhi nahin
qafas hai gosha-e-rahat qafas hai dar-e-aman
gham-e-chaman bhi nahin fikr-e-ashiyan bhi nahin
kahan ke git kahan ki ghazal ki ham-suKHano
bahut dinon se hamein jurat-e-fughan bhi nahin
Ghazal
Chaman mein aatish-e-gul bhi nahin dhuan bhi nahin
Raaz Muradabadi