chaman mein aap ki tarah gulab ek bhi nahin
huzur ek bhi nahin janab ek bhi nahin
mubahison ka ma-hasal faqat KHalish faqat KHalal
sawal hi sawal hain jawab ek bhi nahin
idhar kisi se kuchh liya idhar kisi ko de diya
chunanche wajib-ul-ada hisab ek bhi nahin
kutub ke Dher mein na ho sahifa zikr-e-yar ka
to qabil-e-mutalia kitab ek bhi nahin
qawi bhi hai zaif bhi hamara hafiza 'shuur'
maze tamam yaad hain azab ek bhi nahin

Ghazal
Chaman mein aap ki tarah gulab ek bhi nahin
Anwar Shuoor