chaman main rang-e-bahaar utra to main ne dekha
nazar se dil ka ghubar utra to main ne dekha
main nim-shab aasman ki wusat ko dekhta tha
zamin pe wo husn-zar utra to main ne dekha
gali ke bahar tamam manzar badal gae the
jo saya-e-ku-e-yar utra to main ne dekha
KHumar-e-mai mein wo chehra kuchh aur lag raha tha
dam-e-sahar jab KHumar utra to main ne dekha
ek aur dariya ka samna tha 'munir' mujh ko
main ek dariya ke par utra to main ne dekha

Ghazal
Chaman main rang-e-bahaar utra to maine dekha
Muneer Niyazi