chaman lahak ke rah gaya ghaTa machal ke rah gai
tere baghair zindagi ki rut badal ke rah gai
KHayal un ke sath sath der tak chala kiya
nazar to un ke sath thoDi dur chal ke rah gai
wo ek nigah-e-mehr-ban ka iltifat-e-muKHtasar
andhere ghar mein jaise koi shama jal ke rah gai
kahan chaman ki subh mein chaman ka husn-e-nim-shab
kanwal bikhar ke rah gae kali masal ke rah gai
jalai thi to jo do dilon ne ek hasin raat mein
wo shama ab bhi hai jawan wo raat Dhal ke rah gai
chaman ka pyar mil saka na dasht ki bahaar ko
kali bikas ke rah gai saba machal ke rah gai
wo mera dil tha jo parai aag mein jala kiya
wo shama thi jo apni aanch mein pighal ke rah gai
har ek jaan-gudaz gham ka ma-hasal yahi raha
ki gham ke mashghalon mein zindagi bahal ke rah gai
'shamim' un ki ek jhalak bhi ta sahar na mil saki
nigah-e-shauq karwaTen badal badal ke rah gai
Ghazal
Chaman lahak ke rah gaya ghaTa machal ke rah gai
Shamim Karhani