chaman ko lag gai kis ki nazar KHuda jaane
chaman raha na rahe wo chaman ke afsane
suna nahin hamein ujDe chaman ke afsane
ye rang ho to sanak jaen kyun na diwane
chhalak rahe hain surahi ke sath paimane
bula raha hai haram, Tokte hain but-KHane
khisak bhi jaegi botal to pakDe jaenge rind
janab-e-shaiKH lage aap kyun qasam khane
KHizan mein ahl-e-nasheman ka haal to dekha
qafas nasib pe kya guzri hai KHuda jaane
hujum-e-hashr mein apne gunahgaron ko
tere siwa koi aisa nahin jo pahchane
naqab ruKH se na sarki thi kal talak jin ki
sabha mein aaj wo aae hain nachne-gane
kisi ki mast-KHirami se shaiKH nalan hain
qadam qadam pe bane ja rahe hain mai-KHane
ye inqalab nahin hai to aur kya 'bismil'
nazar badalne lage apne jaane-pahchane
Ghazal
Chaman ko lag gai kis ki nazar KHuda jaane
Bismil Azimabadi