chaman ko KHar-o-KHas-e-ashiyan se aar na ho
kahin guzishta bahaaron ki yaadgar na ho
chamak raha hai andhere mein karobar-e-hayat
nazar nazar ho to jina bhi sazgar na ho
ye zulf-o-ruKH ye shab-o-roz ye bahaar-o-KHizan
wo silsila hai ki qat-e-nazar bhi bar na ho
bahaar kuchh jo mili rang-o-bu se begana
wo aa gae ki anasir mein intishaar na ho
ye tar-o-pud nizam-e-KHirad bikhar ke rahe
junun ba-qadr-e-tajalli jo hoshiyar na ho
ye Dar raha hun main takrar-e-mausam-e-gul se
miTa hua koi aalam phir aashkar na ho
ye aarzu hai ki KHush-fahmi-e-talab hai 'nushur'
umid kya hai jo duniya umid-war na ho
Ghazal
Chaman ko Khaar-o-KHas-e-ashiyan se aar na ho
Nushur Wahidi