chaman ko aag lagane ki baat karta hun
samajh sako to Thikane ki baat karta hun
sharab-e-talKH pilane ki baat karta hun
KHud-agahi ko jagane ki baat karta hun
suKHanwaron ko jalane ki baat karta hun
ki jagton ko jagane ki baat karta hun
uThi hui hai jo rangini-e-taghazzul par
wo har naqab girane ki baat karta hun
is anjuman se uThunga khari khari kah kar
phir anjuman mein na aane ki baat karta hun
yahan charagh tale luT hai andhera hai
kahan charagh jalane ki baat karta hun
wo baghban! jo phulon se bair rakhta hai
ye aap hi ke zamane ki baat karta hun
rawish rawish pe bichha do babul ke kanTe
chaman se lutf uThane ki baat karta hun
wahan sharab pilata hun ahl-e-binash ko
jahan bhi KHun bahane ki baat karta hun
mizaj-e-husn kahin bad-maza na ho jae
adal badal ke fasane ki baat karta hun
magar fareb-dahi mein darkar hai achhuta-pan
tere fareb mein aane ki baat karta hun
wahin se sher mein barjastagi nahin rahti
jahan se haal chhupane ki baat karta hun
pila raha hun main kanTon ko KHun-e-dil ai 'shad'
gulon ke rang uDane ki baat karta hun
Ghazal
Chaman ko aag lagane ki baat karta hun
Shaad Aarfi