chaman ko aag lagane ki baat karta hun 
samajh sako to Thikane ki baat karta hun 
sahar ko sham jalane ki baat karta hun 
ye ghafilon ko jagane ki baat karta hun 
rawish rawish pe bichha do babul ke kanTe 
chaman se lutf uThane ki baat karta hun 
wo baghban jo paudon se bair rakhta hai 
ye aap hi ke zamane ki baat karta hun 
sharab-e-surKH ki maujon se muddaa hoga 
agar main KHun bahane ki baat karta hun 
wo sirf apne liye jam kar rahe hain talab 
main har kisi ko pilane ki baat karta hun 
yahan charagh tale luT hai andhera hai 
kahan charagh jalane ki baat karta hun 
is anjuman se uTha hun khari khari kah kar 
phir anjuman mein na aane ki baat karta hun 
dabi zaban se guzarish hai nagawar agar 
to kya sawal uThane ki baat karta hun 
naqab-e-ru-e-zamana na uTh sakegi ki main 
gulon se os uThane ki baat karta hun 
ghise houn ko nai fikr de raha hun 'shad' 
manjhe houn ko sikhane ki baat karta hun
        Ghazal
Chaman ko aag lagane ki baat karta hun
Shaad Aarfi

