chaman chaman kahin aansu ghuTa ghuTa kahin aah
bana raha hai nai kaenat ishq-e-tabah
na hosh ba-KHabar is se na be-KHudi aagah
main kis se puchhun tere shahr-e-iltifat ki rah
bas ek maut ki had tak pahunch saki hai nigah
kahan mili abhi dariya-e-sanehat ki thah
bahaar-e-mashriq-e-dil inqalab-e-mausam-e-gham
kisi ka ek tabassum kisi ki ek nigah
ye aarzu ke sitare ye intizar ke phul
chamak rahi hain KHataen mahak rahe hain gunah
Ghazal
Chaman chaman kahin aansu ghuTa ghuTa kahin aah
Kausar Jayasi