chaman chaman hi nahin hai jo lala-zar nahin
hum us ko dil nahin kahte jo dagh-dar nahin
main chal raha hun zamane ke sath sath magar
faza zamane ki phir bhi to sazgar nahin
raqib jhuT kahega to sach samajh loge
kahenge sach bhi agar hum to e'tibar nahin
main un ke husn ko ilzam dene wala kaun
jab apne dil pe mujhe KHud hi iKHtiyar nahin
ab aur dekhiye tauhin-e-ishq kya hogi
wo kah rahe hain hamein tera e'tibar nahin
tumhaare hijr mein din kis qadar guzare hain
koi hisab nahin hai koi shumar nahin
tere karam ke bharose pe mutmain hun main
ye jaanta hun ki mujh sa gunahgar nahin
kisi ke ruKH pe nazar jam ke rah gai shayad
meri nigah mein rangini-e-bahaar nahin
KHumar-e-nasha-e-hasti hai wo bala 'shankar'
bahak raha hai har ek koi hoshiyar nahin
Ghazal
Chaman chaman hi nahin hai jo lala-zar nahin
Shankar Lal Shankar