chamakti wusaton mein jo gul-e-sahra khila hai
koi kah de agar pahle kabhi aisa khila hai
azal se gulshan-e-hasti mein hai maujud bhi wo
magar lagta hai jaise aaj hi taza khila hai
baham kaise hue hain dekhna KHwab aur KHushbu
guzarte mausamon ka aaKHiri tohfa khila hai
lahu mein ek alag andaz se mastur tha wo
sar-e-shaKH-e-tamasha aur bhi tanha khila hai
kahan KHak-e-madina aur kahan KHakistar-e-dil
kahan ka phul tha lekin kahan par aa khila hai
kabhi dil par giri thi shabnam-e-ism-e-mohammad
meri har sans mein kaliyon ka majmua khila hai
yahi rauzan banega ek din diwar-e-jaan mein
mere dil mein nidamat ka jo ek lamha khila hai
yahin tak lai hai ye zindagi bhar ki masafat
lab-e-dariya hun main aur wo pas-e-dariya khila hai
bikharta ja raha hai dur tak rang-e-judai
'zafar' kya puchhte ho zaKHm-e-dil kaisa khila hai
Ghazal
Chamakti wusaton mein jo gul-e-sahra khila hai
Zafar Iqbal