chamakti os ki surat gulon ki aarzu hona
kisi ki soch mein rahna kisi ki justuju hona
wo patthar hai pighalne mein zara sa waqt to lega
abhi mumkin nahin hai us se koi guftugu hona
use mein dekhta jaun kahan ye baat aankhon mein
nahin aasan suraj ke musalsal ru-ba-ru hona
use aata hai lamhon mein bhi apne aks ko bharna
na hona pas lekin phir bhi mere chaar su hona
tumhaari yaad ki barish barasti hai mere dil par
meri aankhon ko aata hi nahin hai be-wazu hona
lahu mein bo gaya hai qatra qatra sainkDon kanTe
hari rut mein bhi mere sehn-e-gul ka be-numu hona

Ghazal
Chamakti os ki surat gulon ki aarzu hona
Saleem Figar