chamakti aankh mein sahra dikhai saf deta hai
mere lahje mein sannaTa sunai saf deta hai
main ek asrar-e-matam lakh KHud mein gum hua jaun
magar sina kisi shai ki duhai saf deta hai
wo kya kya baat karta hai na ek pal bhi bichhaDne ki
magar lahja ki ehsas-e-judai saf deta hai
safen yun to muqabil dushmanon ki hain magar un mein
ajab ek mehrban chehra dikhai saf deta hai
main aa pahuncha hun ai 'bani' ajab andhi jagah mana
hai ab bhi ek rasta jo sujhai saf deta hai
Ghazal
Chamakti aankh mein sahra dikhai saf deta hai
Rajinder Manchanda Bani