chamakne laga hai tera gham bahut
diye ho chale ab to maddham bahut
ghaTaon mein tufan ke aasar hain
teri zulf hai aaj barham bahut
yahan lahlahae hain ashkon mein bagh
na itrae phulon pe shabnam bahut
ye wo daur hai jis ka darman nahin
ye wo raaz hai jis ke mahram bahut
ye daman-e-wahshat ki kuchh dhajjiyan
banaenge log in se parcham bahut
gada-e-mohabbat ki KHuddariyan
mile rah mein KHusraw-o-jam bahut
sulagti rahi raat bhar chandni
shab-e-hijr thi raushni kam bahut
na jaegi dil se kabhi aarzu
ye buniyaad hai aah-e-mohkam bahut
Ghazal
Chamakne laga hai tera gham bahut
Noor Bijnauri