chamak rahi hai paron mein uDan ki KHushbu
bula rahi hai bahut aasman ki KHushbu
bhaTak rahi hai purani dulaiyan oDhe
haweliyon mein mere KHandan ki KHushbu
suna ke koi kahani hamein sulati thi
duaon jaisi baDe pan-dan ki KHushbu
daba tha phul koi mez-posh ke niche
garaj rahi thi bahut pechwan ki KHushbu
ajab waqar tha sukhe sunahre baalon mein
udasiyon ki chamak zard lawn ki KHushbu
wo itr-dan sa lahja mere buzurgon ka
rachi-basi hui urdu zaban ki KHushbu
ghazal ki shaKH pe ek phul khilne wala hai
badan se aane lagi zafran ki KHushbu
imaraton ki bulandi pe koi mausam kya
kahan se aa gai kachche makan ki KHushbu
gulon pe likhti hui la-ilaha-illallah
pahaDiyon se utarti azan ki KHushbu
Ghazal
Chamak rahi hai paron mein uDan ki KHushbu
Bashir Badr