اردو हिंदी
Chamak raha hai mera sar bhi main bhi duniya bhi | Shaahi Shayari
chamak raha hai mera sar bhi main bhi duniya bhi

Ghazal

Chamak raha hai mera sar bhi main bhi duniya bhi

Asad Badayuni

;

chamak raha hai mera sar bhi main bhi duniya bhi
ek aaina hai samundar bhi main bhi duniya bhi

khula ki ek hi rishte mein munsalik hain tamam
ye mera sar bhi ye patthar bhi main bhi duniya bhi

kisi gunah ki padash mein hain sab zinda
mere shajar mere manzar bhi main bhi duniya bhi

utar rahe hain sabhi ek nasheb ki jaanib
bulandiyon se ye patthar bhi main bhi duniya bhi

KHabar kisi ko kisi ki nahin yahan lekin
hawa ki zad pe gul-e-tar bhi main bhi duniya bhi