chamak-damak pe na jao khari nahin koi shai
siwae shaKH-e-tamanna hari nahin koi shai
dil-e-gudaz o lab-e-KHushk o chashm-e-tar ke baghair
ye ilm o fazl ye danish-wari nahin koi shai
to phir ye kashmakash-e-dil kahan se aai hai
jo dil-giraftagi o dilbari nahin koi shai
ajab hain wo ruKH o gesu ki samne jin ke
ye subh o sham ki jadugari nahin koi shai
malal-e-saya-e-diwar-e-yar ke aage
shab-e-tarab teri nilam-pari nahin koi shai
jahan-e-ishq se hum sarsari nahin guzre
ye wo jahan hai jahan sarsari nahin koi shai
teri nazar ki gulabi hai shisha-e-dil mein
ki hum ne aur to is mein bhari nahin koi shai
Ghazal
Chamak-damak pe na jao khari nahin koi shai
Ahmad Mushtaq