chalti rahti hai tasalsul se junun-KHez hawa
jalta rahta hai magar phir bhi kahin ek diya
kisi mahfil mein koi shaKHs bahut khul ke hansa
waqia ye to ajab aaj yahan pesh aaya
yaad aata hai bahut ek purana aangan
jis mein pipal ka ghana peD hua karta tha
ashk bahte hain to bahte hi chale jate hain
rok sakta hai bahaw bhi koi dariya ka
raat hum ek ghazal likhte hue rote rahe
baz lafzon ko to ashkon ne miTa hi Dala
phir se Takra gaya mujh hi se mere dil ka mafad
phir se barpa hua ek marka-e-karb-o-bala
Ghazal
Chalti rahti hai tasalsul se junun-KHez hawa
Shabnam Shakeel