chalti rahi us kuche mein talwar hamesha
lashe hi nikalte rahe do-chaar hamesha
gil khulte rahen chahchahe karta rahe bulbul
ya-rab rahe aabaad ye gulzar hamesha
hum rind hue shahid-e-maqsud se wasil
jhagDe mein rahe kafir o din-dar hamesha
yan tuKHm-e-tamanna se uga karta hai lala
gul khate hain har fasl mein do-chaar hamesha
taDpa karen kuche mein tere saikDon kushte
rangin rahe KHun se teri talwar hamesha
diwane hain mail hon agar hur-o-pari ke
jo dekh rahe hun tera didar hamesha
mujh tishna-e-didar ko kis roz chhakaya
pyasa hi raha KHun ka wo KHunKHar hamesha
mushtaqon ne tere na liya kauDiyon ke mol
bikta raha yusuf sar-e-bazar hamesha
hai zulf-e-musalsal teri ya dam-e-bala hai
ho rahte hain do-chaar giraftar hamesha
kyun-kar tu masiha hua mashhur jahan mein
marte hain tere hath se bimar hamesha
hangame nae roz hua karte hain barpa
fitne hi uThati hai wo raftar hamesha
ai 'rind' junun mein bhi na sahra ko gae hum
khaya kiye patthar sar-e-bazar hamesha
Ghazal
Chalti rahi us kuche mein talwar hamesha
Rind Lakhnavi