chalte hue mujh mein kahin Thahra hua tu hai
rasta nahin manzil nahin achchha hua tu hai
tabir tak aate hi tujhe chhuna paDega
lagta hai ki har KHwab mein dekha hua tu hai
mujh jism ki miTTi pe tere naqsh-e-kaf-e-pa
aur main bhi baDa KHush ki are kya hua tu hai
main yun hi nahin apni hifazat mein laga hun
mujh mein kahin lagta hai ki rakkha hua tu hai
wo nur ho aansu ho ki KHwabon ki dhanak ho
jo kuchh bhi in aankhon mein ikaTTha hua tu hai
is ghar mein na ho kar bhi faqat tu hi rahega
diwar-o-dar-e-jaan mein samaya hua tu hai
Ghazal
Chalte hue mujh mein kahin Thahra hua tu hai
Abhishek Shukla