chalte chalte ye haalat hui rah mein bin piye mai-kashi ka maza aa gaya
pas koi nahin tha magar yun laga koi dil se mere aa ke Takra gaya
aaj pahle-pahal tajraba ye hua id hoti hai aisi KHabar hi na thi
chand ko dekhne ghar se jab main chali dusra chand mere qarib aa gaya
ai hawa-e-chaman mujh pe ehsan na kar nikhat-e-gul ki mujh ko zarurat nahin
ishq ki rah mein pyar ke itr se mere sare badan ko wo mahka gaya
hijr ka mere dil mein andhera kiye wo jo pardes mein tha basera kiye
jis ke aane ka koi guman bhi na tha dafatan mujh ko aa ke wo chaunka gaya
rang 'mumtaz' chehre ka aisa khila zindagi mein naya hadisa ho gaya
aaina aur main donon hairan the main bhi sharma gai wo bhi sharma gaya
Ghazal
Chalte chalte ye haalat hui rah mein bin piye mai-kashi ka maza aa gaya
Mumtaz Naseem