chalte chalte ye gali be-jaan hoti jaegi
raat hoti jaegi sunsan hoti jaegi
dekhna kya hai nazar-andaz karna hai kise
manzaron ki KHud-ba-KHud pahchan hoti jaegi
us ke chehre par musalsal aankh ruk sakti nahin
aankh bar-e-husn se halkan hoti jaegi
soch lo ye dil-lagi bhaari na paD jae kahin
jaan jis ko kah rahe ho jaan hoti jaegi
kar hi kya sakti hai duniya aur tujh ko dekh kar
dekhti jaegi aur hairan hoti jaegi
kakul-e-KHamdar mein KHam aur aate jaenge
zulf us ki aur bhi shaitan hoti jaegi
aate aate ishq karne ka hunar aa jaega
rafta-rafta zindagi aasan hoti jaegi
ja chukin KHushiyan to ab gham hijraten karne lage
dil ki basti is tarah viran hoti jaegi

Ghazal
Chalte chalte ye gali be-jaan hoti jaegi
Ameer Imam