chalo ye to hadsa ho gaya ki wo saeban nahin raha
zara ye bhi soch lo ek din agar aasman nahin raha
ye bata ki kaun si jang mein main lahuluhan nahin raha
magar aaj bhi tere shahr mein koi mujh ko man nahin raha
ye nahin ki meri zamin par koi aasaman nahin raha
magar aasman kabhi mere tere darmiyan nahin raha
shab-e-hijr ne hawas aur ishq ke sare farq miTa diye
koi chaarpai chaTaKH gai to kisi mein ban nahin raha
sabhi zindagi pe farefta koi maut par nahin shefta
sabhi sud-KHor to ho gae hain koi paThan nahin raha
na labon pe gham ki hikayaten na wo be-ruKHi ki shikayaten
ye itab hai shab-e-wasl ka ki main KHush-bayan nahin raha
isi be-ruKHi mein hazar ruKH hain purane rishte ke sahibo
koi kam nahin hai ki jaan kar bhi wo mujh ko jaan nahin raha
Ghazal
Chalo ye to hadsa ho gaya ki wo saeban nahin raha
Shuja Khaavar