chalo ye sach hi sahi hoga na-gahan guzre
hamare dar se magar aap mehrban guzre
jidhar bhi aap gae bas gae hain virane
ujaD gae hain chaman hum jahan jahan guzre
hamein miTane ki gar koshishen tamam huin
to ye bhi kahiye ki hum kitne saKHt-jaan guzre
wo subh-o-sham ki ranginiyan tamam huin
saubaton ki kaDi dhup hai jahan guzre
wo apne daman-e-para pe bhi nigah kare
jahan mein mujh pe uTha kar jo ungliyan guzre
hayat-o-maut ka hal kar chuke hain har uqda
ab hum ko KHauf nahin lakh imtihan guzre
'anis' aap ko dekha hai har ghaDi masruf
kabhi to chain se do-chaar din miyan guzre
Ghazal
Chalo ye sach hi sahi hoga na-gahan guzre
Anees Ahmad Anees