اردو हिंदी
Chalo us bewafa ko main bhula kar dekh leta hun | Shaahi Shayari
chalo us bewafa ko main bhula kar dekh leta hun

Ghazal

Chalo us bewafa ko main bhula kar dekh leta hun

Irshad Husain Kazmi

;

chalo us bewafa ko main bhula kar dekh leta hun
ye shoale KHushk patton mein chhupa kar dekh leta hun

kisi surat guzishta saaton ke naqsh miT jaen
main diwaron se taswiren haTa kar dekh leta hun

jo itni pas hain wo suraten dhundlaegi kaise
KHud apni sans shishe par laga kar dekh leta hun

bahut dil ko satata hai agar be-KHanuman hona
to kuchh lamhe hawa mein ghar bana kar dekh leta hun

ye mumkin hai use bhi is se ho kuchh dur ki nisbat
main aane wala har patthar uTha kar dekh leta hun

tawaqqo hai ki shayad wo yunhi pahchan le mujh ko
use is ke purane KHat dikha kar dekh leta hun

mere gham ki KHabar 'irshad' duniya ko hui kaise
bhare talab mein kankar gira kar dekh leta hun