chalo surang se pahle guzar ke dekha jae
phir is pahaD ko kandhon pe dhar ke dekha jae
udhar ke sare tamashon ke rang dekh chuke
ab is taraf bhi kisi roz mar ke dekha jae
wo chahta hai kiya jae e'tibar us par
to e'tibar bhi kuchh roz kar ke dekha jae
kahan pahunch ke haden sab tamam hoti hain
is aasman se niche utar ke dekha jae
ye darmiyan mein kis ka sarapa aata hai
agar ye had hai to had se guzar ke dekha jae
ye dekha jae wo kitne qarib aata hai
phir is ke baad hi inkar kar ke dekha jae
Ghazal
Chalo surang se pahle guzar ke dekha jae
Atiiqullah