chalo mana hamin be-karwan hain
jo juzw-e-karwan the wo kahan hain
na jaane kaun pichhe rah gaya hai
manazir ulTi jaanib ko rawan hain
zamin ke tal sab sukhe paDe hain
parinde aasman-dar-asman hain
suna hai tishnagi bhi ek dua hai
labon par shabd jis ke par-fishan hain
khule sahra mein mat DhunDo hamein tum
sada se hum tumhaare darmiyan hain
Ghazal
Chalo mana hamin be-karwan hain
Wazir Agha