chalo kuchh to rah tai ho na chale to bhul hogi
abhi band har gali hai jo khulegi tul hogi
tere husn ki wadiat meri jurat-e-nazara
tere ru-ba-ru jhukegi to nazar ki bhul hogi
mere ham-safar baDhenge mujhe rasta bata kar
mere panw se uDi hai mere sar pe dhul hogi
mujhe qibla-ru biTha kar mere hath uThane walo
ye yaqin bhi dila do ki dua qubul hogi
chalo man len ye donon koi shai hai maslahat bhi
na sitam ka dil dukhega na wafa malul hogi
tera fan-e-qissa-goi abhi dar tak hi pahuncha
mere shauq ki kahani abhi aur tul hogi
wo lahu ki dhaar 'afzal' jo hai qarz KHanjaron par
na karenge hum taqaza na kabhi wasul hogi
Ghazal
Chalo kuchh to rah tai ho na chale to bhul hogi
Ezaz Afzal