chalo ki KHud hi karen ru-numaiyan apni
saron pe le ke chalen kaj-kulahiyan apni
sabhi ko par utarne ki justuju lekin
na baadban na samundar na kashtiyan apni
wo kah gaya hai ki ek din zarur aaunga
zara qarib se dekhunga duriyan apni
mere paDos mein aise bhi log baste hain
jo mujh mein DhunD rahe hain buraiyan apni
mujhe KHabar hai wo meri talash mein hoga
main chhoD aaya hun ek baat darmiyan apni
main bund bund ki KHairaat kab talak mangun
sameT laun samundar se sipiyan apni
mere kahe hue lafzon ki qadr-o-qimat thi
main apne kan mein kahne laga azan apni
karega sar wahi is dasht-e-be-karan ko 'amir'
jala ke aae jo sahil pe kashtiyan apni
Ghazal
Chalo ki KHud hi karen ru-numaiyan apni
Ameer Qazalbash