اردو हिंदी
Chalo ke mil ke badal dete hain samajon ko | Shaahi Shayari
chalo ke mil ke badal dete hain samajon ko

Ghazal

Chalo ke mil ke badal dete hain samajon ko

Taseer Siddiqui

;

chalo ke mil ke badal dete hain samajon ko
miTa den sare zamane ke bad riwajon ko

faqat dilon ko milane se kuchh nahin hota
banegi baat milaoge jab mizajon ko

saron ki bhiD to aksar machae hangama
sanwaro soch se tum apne ehtijajon ko

suna hai hansne se chehre pe nur aata hai
kahan se pura karen itni ehtijajon ko

nahin rahe wo hasin mai-kadon ke jalwe ab
chalo ki DhunDhen ghamon ke nae ilajon ko