اردو हिंदी
Chalo hum hi pahal kar den ki humse bad-guman kyun ho | Shaahi Shayari
chalo hum hi pahal kar den ki humse bad-guman kyun ho

Ghazal

Chalo hum hi pahal kar den ki humse bad-guman kyun ho

Waseem Barelvi

;

chalo hum hi pahal kar den ki hum se bad-guman kyun ho
koi rishta zara si zid ki KHatir raegan kyun ho

main zinda hun to is zinda-zamiri ki badaulat hi
jo bole tere lahje mein bhala meri zaban kyun ho

sawal aaKHir ye ek din dekhna hum hi uThaenge
na samjhe jo zamin ke gham wo apna aasman kyun ho

hamari guftugu ki aur bhi samten bahut si hain
kisi ka dil dukhane hi ko phir apni zaban kyun ho

bikhar kar rah gaya hamsaegi ka KHwab hi warna
diye is ghar mein raushan hon to us ghar mein dhuan kyun ho

mohabbat aasman ko jab zamin karne ki zid Thahri
to phir buzdil usulon ki sharafat darmiyan kyun ho

ummiden sari duniya se 'wasim' aur KHud mein aise gham
kisi pe kuchh na zahir ho to koi mehrban kyun ho