chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya
ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diya
ai meri gul-zamin tujhe chah thi ek kitab ki
ahl-e-kitab ne magar kya tera haal kar diya
milte hue dilon ke bich aur tha faisla koi
us ne magar bichhaDte waqt aur sawal kar diya
ab ke hawa ke sath hai daman-e-yar muntazir
banu-e-shab ke hath mein rakhna sambhaal kar diya
mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha
hum ne to ek baat ki us ne kamal kar diya
mere labon pe mohr thi par mere shisha-ru ne to
shahr ke shahr ko mera waqif-e-haal kar diya
chehra o nam ek sath aaj na yaad aa sake
waqt ne kis shabih ko KHwab o KHayal kar diya
muddaton baad us ne aaj mujh se koi gila kiya
mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya
Ghazal
Chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya
Parveen Shakir