chaliye kahin sahra hi mein ab KHak uDaen
basti mein to sab jal gain KHwabon ki ridaen
bechain hai muztar hai pareshan hai ye ruh
kab tak ise ehsas ki suli pe chaDhaen
aankhon mein paDhi jati hai sail ki zarurat
chehre se suni jati hain KHamosh sadaen
main waqt ki raftar ka ruKH moD raha hun
wo log jo Darte hain mere sath na aaen
munh moD rahe hain jo 'ziya' jahd-o-amal se
ja kar dar-e-taqdir ki zanjir hilaen
Ghazal
Chaliye kahin sahra hi mein ab KHak uDaen
Bakhtiyar Ziya