اردو हिंदी
Chali Dagar par kabhi na chalne wala main | Shaahi Shayari
chali Dagar par kabhi na chalne wala main

Ghazal

Chali Dagar par kabhi na chalne wala main

Rajinder Manchanda Bani

;

chali Dagar par kabhi na chalne wala main
nae anokhe moD badalne wala main

tum kya samjho ajab ajab in baaton ko
aag kahin ho yahan hun jalne wala main

bahut zara si os bhigone ko mere
bahut zara si aanch, pighalne wala main

bahut zara si Thes taDapne ko mere
bahut zara si mauj, uchhalne wala main

bahut zara sa safar bhaTakne ko mere
bahut zara sa hath, sambhalne wala main

bahut zara si subh bikasne ko mere
bahut zara sa chand, machalne wala main

bahut zara si rah nikalne ko mere
bahut zara si aas, bahalne wala main