اردو हिंदी
Chali ab gul ke hathon se luTa kar karwan apna | Shaahi Shayari
chali ab gul ke hathon se luTa kar karwan apna

Ghazal

Chali ab gul ke hathon se luTa kar karwan apna

Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan

;

chali ab gul ke hathon se luTa kar karwan apna
na chhoDa hae bulbul ne chaman mein kuchh nishan apna

ye hasrat rah gai kya kya maze se zindagi karte
agar hota chaman apna gul apna baghban apna

alam se yan talak roin ki aaKHir ho gain ruswa
Dubaya hae aankhon ne mizha ka KHandan apna

raqiban ki na kuchh taqsir sabit hai na KHuban ki
mujhe nahaq satata hai ye ishq-e-bad-guman apna

mera ji jalta hai us bulbul-e-bekas ki ghurbat par
ki jin ne aasre par gul ke chhoDa aashiyan apna

jo tu ne ki so dushman bhi nahin dushman se karta hai
ghalat tha jaante the tujh ko jo hum mehrban apna

koi aazurda karta hai sajan apne ko he zalim
ki daulat-KHwah apna 'mazhar' apna 'jaan-e-jaan' apna