chale jaiyega meri anjuman se
ye kya sun hun tumhaare dahan se
bahaaron ko rangin banaya hai hum ne
kahan jaen ahl-e-chaman hum chaman se
kahen kis se hum kasmapursi ka aalam
watan mein hain lekin gharib-ul-watan se
mohabbat ke tohfe samajh kar liye hain
mile jis qadar ranj dar-e-mehan se
ye hi hoga aaKHir taghaful ka hasil
utar jaoge ek din mere man se
ye mahsus hota hai sahra mein rah kar
talluq hi jaise nahin tha chaman se
suna kar ghazal aaj mahfil mein 'jafar'
mujhe dad leni hai ahl-e-suKHan se
Ghazal
Chale jaiyega meri anjuman se
Jafar Abbas Safvi